Rasool’Allah Se Mohabbat Dono Jahaa Me Azmat ….

♥ Al-Quraan: Tumharey Pass Tum Hi Me Se Ek Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Aaye Hai
Tumhari Takleef Unko Gira’ah (Apni Takleef) Maloom Hoti Hai,
Aur Tumhari Bhalayi Ke KhwahishMand Hai Aur Momeeno Par Nihayat Shafqat Karney Waley (Aur) Meharbaan Hai.
(Surah At-Taubah (9), Aayat-128)

♥ Al-Quraan: Aur Hum(Allah)ne Aap(Sallallahu Alaihay Wasallam)Ko
Tamaam Jahaan Ke Liye Rehmat Banakar Bheja Hai
(Surah Al-Anbiya (21), Aayat-107)

♥ Al-Quraan: Humney Aapko Tamam Insaano Ke Liye Khushkhabri Sunaney Wala
Aur Daraney Wala Banakar Bheja Hai Lekin Aksar Log Nahi Samajhtey.
(Surah Saba (34) , Aayat-28)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allahu (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Tum Me Se Koi Shakhs EmaanWala Nahi Hoga Jab Tak Uskey Walid
Aur Uski Aulaad Aur Tamam Logo Se Jiyada Uskey Dil Me Meri Mohabbat Na Ho Jaye”.
(Sahih Bukhari, Iman Ka Bayan, H-14)

Leave a Reply