Momin Dusre Momin Ka Aaeena Hai

♥ Mafhoom-e-Hadees:

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai –

Momin Dusre Momin ka Aaeena (Mirror) hai aur Momin Dusre Momin ka Bhai hai Jo Nuksaan ko Uss se Door karta hai aur Uski Gair-Moujudgi me uski Hifazat karta hai.”

– (Sunan Abu Dawud, Vol-3, Hadith.1486)

✦ Subhan’Allah ! Aayine ki Misaal bohot hi Hikamt bhari hai, aur wo ye hai ke: jab hum Aaeene ke samne jatey hai tou wo humara mazak nahi udata , balki humare Aibo ko humare samne pesh karta hai,

Aur sabse aham hikmat ye ke : Ek hi aayine ke samne Maa bhi apne Aibo ko dekhti hai, Baap bhi apni islah karta hai , Bhai aur Behne tamam uss ke samne apne Aibo ko lekar jatey hai lekin wo aayina Baap ke Aib Maa ko ya kisi aur ko nahi dikhata. yaani “humare pith piche humare Aib kisi aur ko nahi batata.”

♥ SubhanAllah ! Humare Ittehad ke liye kitni nayab misaal bayan ki hai Nabi-e-Kareem (Salallaho Alahi Wasallam) ne , fir hum isey nazarandaz Kyu karte hai sochne ki jarurat hai mere Azeezo !

♥ In’sha’Allah ul Azeez !
– Allah Rabbul Izzat Hum Tamam Ko Ek Aur Nek Banaye ..
– Mafadparasto Ke Fitno Se Humare Imaan Ki Salamti Ata Farmaye…
– Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
– Khatma Humara Imaan Par Ho …

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

• ummat-e-nabi.com/home | • Fb.com/HadiseNabwi

Leave a Reply