Talbiyah Ka Bayan: Labbaik Allahumma Labbaik


✦ Hadith: Sahl bin Saad As-Saidi (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya –
❝ Jab Talbiyah padhne wala talbiyah kehta hai tou uske daayen aur baayen zameen ke dono kinaaro tak sab patthar, darakht aur dhele bhi talbiyah kehte hain.’
(Sunan Ibne Maajah 1078)


✦ Talbiyah ✦

Labbaik ! Allahumma Labbaik !!
Labbaik ! Laa Shareek Lak Labbaik !!
Innal Hamdah Wan-Ne’matah Lak
Wal Mulk Laa Shareek Lak.


✦ Tarjuma ✦

Main haazir hu ! Aye mere Allah main haazir hu !!
Main haazir hu tera koi shareek nahi, main haazir hu !!
beshaq tamaam ta’arif aur ne’amat aur mulk
tere hi liye hai, tera koi shareek nahi.!!

Khushqismat Haji saahiban Haram Shareef me talbiyah padh rahe hain.
Allah Ta’ala hum tamaam mo’mino ko ye sa’adat ata farmaye. aameen.

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

Leave a Reply