Kiski Itteba Barhaq ? Kitabo-Sunnat ya Aaba-o-Azdad Ki Taqleed ? …

Aksar Jab Logon Se Unke Gairsharayi Amal Ke Talluk Se Pucha Jata Hai tou Wo Kehte Hai ke –
“Bhai Hum Tou Falah-Falah Amal, Kunde Ki Niyaz, Qabr-Parasti Aur Digar Bebuniyadi Eidey Kayi Saalo Se Karte Aa Rahe Hai, Tou Kya Humare Aaba-o-Azdad Ka Itna Purana Riwaz Galat Ho Sakta Hai ? …

*Yaad Rakhiye Kisi Cheez Ka Puraana Hona Uskey Haq Hone Ki Hujjat Nahi Hoti ,..
– Agar Aisa Hota Tou Hum Sabko “Buthparast” Ban Jana Chahiye ,..
– Kyunki Buthparasti Tou Hazaro Saalo Se Chalti Aa Rahi Hai …

*Balki Humare Liye Haq Tou Wo Hai
Jo Allah Ki Kitaab Aur Uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Se Sabit Hai ,.. Fir Chahe Koi Ispey Amal Kare Ya Naa Kare,.. Wo Baatey Qayamat Tak Haq Hogi ,.. – @[156344474474186:]

*Agar Ek Fard Bhi Iss Duniya Me Sacche Islam Par Amal Kare Tou Wo Haq Par Hai,.. Aksariyat Aur Aqaliyat Ka Islam Me Koi Taqaza Nahi ,..

*Kyunki Jab Islam Duniya Me Aaya –
– Sirf Ek Shaksh Ke Jehan Me Wo Baat Thi,.. Yaani Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Aur Puri Duniya Aapke Khilaf Khadi Thi ! Majud, Yahud, Nassara Aur Mushrikan-e-Makka Tamam Ke Tamam Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Ajnabiyat Se Dekh Rahe They! Ke Isney Kya Baat Layi Hai ? ,.. Yeh Tou Humare Aaba-o-Azdad Ke Deen Ke Khilaf Ja Raha Hai ,..

*Tou Ek Fard-e-Wahid Ke Jehan Me Wo Cheez Hai Jisko Islam Hum Samjhtey Hai, Waha Se Deen-e-Tawheed Ka Parcham Rabbul Izzat Lehrata Hai ,.. Tou Agar Aqaliyat Aur Aksariyat Ka Koi Taqaza Hota Tou Usi Wakt Islam Khatm Kar Dena Chahiye Tha Allah Ne,.. “Kyunki Duniya Ki Aksariyat Tou Puri Shirk Me Mulawwis Thi …”

*Tou Shairyat Me Koi Aksariyat Aur Akliyat Ka Taqaza Nahi ,
– Naahi Kisi Cheez Ka Purana Hona Uski Haq Hone Ki Daleel Hai ,..

*Balki Shariyat Me Tou Yeh Hai Ke ? “Daleel Kis Cheez Ki Hai ?”
– Allah Ki Kitaab Aur Uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Se Sabit Hai Tou Bus Wo Baat Durust Hai, Aur Agar Sabit Nahi Tou Uss Baat Ko Chorr Dijiye Allah Ke Liye ,.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
*Allah Taala Hume Haq Sun’ne Samjhne Aur Uspey Amal Karne Ki Taufiq Dey …
*Hume Kitabo-Sunnat Ka Muttabey Banaye ,..
*Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
*Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Mohammad Salim

Leave a Reply