Islamic Quiz 160

Islamic Quiz 160

ka Sahih jawab hai : Option ( A )

Hum tou Baap-Dada ke Deen par hi chalenge

Daleel :

Allah Raabul Izzat Mushriko ki hatdharmi bayan karte hue Quraan me farmata hai –

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Aur Jab Mushriko se kaha jaye ki Allah ke utaare (hidayat) par Chalo tou kahenge: Hum tou usi pe Chalenge jis par humne apne Baap-Dada ko paya, Agarche unke Baap-Dada naa kuch Aqal rakhte ho na Hidayat.”

📕 Quran 2:170

*Afsos ki baat hai ke Aaj Humara bhi Muamla bhi kuch aisa hi hai ke –
Hum bhi apne Aaba-o-Azdad ke tareeko ko Kitabo Sunnat par tarzi de rahe hai,
Humse bhi jab koi Kitabo Sunnat ki baat karta hai tou uska Mazak udaya jata hai.

• Allah ke liye Jab koi Qurano Hadees ki taraf hume bulaye tou bagour uski baate suney,
Warna La-ilmi me kahi hum uski Mukahliafat me iss hadd tak Aagey na badh jaye jo humari musibat-wa-barbadi ka baayis ho.

Jiske Talluk Allah Rabbul Izzat Quraan me wajahat farmata hai –

“Aur tum par jo Museebat aati hai wo Tumhare hi haatho ke kiye huye kaamo se aati hai jabki wo (Allah) bahut se gunaah muaf bhi farma deta hai.”

   📕 Quran 42:30

Tou Behrhaal jab bhi koi Kitabo-Sunnat ki Hume dawat dey tou hume chahiye ke uspe Gour kare aur tassub ke Chasme utaar kar mehaz haq ki taraf ruzu karey.


♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!

# Allah Ta’ala Hume haq Sun’ne, Samjhne aur Uss par Amal ki taufiq dey..
# Humey Kitabo-Sunnat ka Muttabey banaye,
# Jab Tak hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhye.
# Khatma Humara Imaan par ho.

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!