Ilm Ki Ahmiyat: Part-11

Yaad Rakhiye Maazi (Past) Me Humare Halaat Aise Nahi They, Wo Musalman Jo Acche Musalman They Sath Me Duniya Ka Bhi Ilm Khub Rakhtey They.

* Badey-Badey Jo Kisi Maslaq Ke Qaazi, Haakim Hua Karte; Sath Me Badey-Badey Scientist Bhi Hua Karte They ,.. Badey-Badey Fun Ke Maahir Bhi Hua Karte They.

* Aur Yeh Musalmano Ki Deyn Hai, Aaj Jo Itni Saari Cheeze Hum Dekhtey Hai, Yeh Humare Aslaf Ki Deyn Hai Jiska Duniya Aaj Fayda Utha Rahi Hai , Yeh Alag Baat Hai Ke Hum Khud Bhul Chukey Hai Apni Tarikh.

* Aayiye Hum Kuch Wakiyaat Dekhtey Hai Ke Maazi Me Musalmano Ne Kaise Kaise Kaarnamo Ko Anjam Diye –
Aapne Kayi Naam Suney Honge Kabhi Samajh Me Aatey Hai Tou Kabhi Nahi Bhi Aateyi ,..

✦ AVICENNA:

Avicina
Avicenna (Ibn Sīnā) – Father of Modern Medicine
Wo Log Jo Tib Ka Shoba(Medicine) Padhtey Hai Unn Tamam Ke Tamam Ne Avicenna Ka Naam Tou Jarur Suna Hoga ,.. 18th Century Tak Inhi Ki Kitabo Se Pura Europe Aur Puri Duniya ‘Ilm-e-Tib’ Haasil Yaani “Modern Medicine” Sikhti Rahi , Yeh Ek Musalman Scientist They Inka Naam “IBN SINA” Tha ,..

– Ye Humare Aslaf They Jinhone Logon Ko Ilm Diya Medicine Ka, Jis Shobey Me Aaj Musalman Pichey Hatt Gaye, Aur Gairmuslim Dekhiye Kis Hadd Tak Aagey Badh Chukey Hai.. Jabki Musalman Baani(Founder) Hai Iss Shobey Ke, Tou Yeh Ilm-e-Tib Ibne Sina Ne Khoj Nikala aur Inhone Ek Qanoon Nikala! Qanoon Fil Tib (The Canon Of Medicine). aur Yeh 17 Jildo Par Mushtmil Sabse Badi Kitab Hai Aaj Tak Ke Likhi Gayi Medicine Ke Upar ,..


✦ AVENZOAR:

Jo Log Medicine Se Talluk Rakhte Hai Wo Jarur Iss Naam Ko Jantey Honge..
Inka Asal Naam “IBN ZUHR” Tha.. Yeh Wo They Jinhone Bohot Saare Aise Aalat(Equipment) Ijad Kiye Jiske Jarye Surgery Ki Jaati Hai, Father of Modern Surgery ,..

ibn zohr
IBN ZUHR – Father of Modern Surgery

*Bohot Saare Aalat Fir Chahey Wo Blades Ki Shakley Ho ,.. Mukhatlif Kism Ke Awjaar Ho, Ye Inhi Ki Deyn Hai , aur Wo Awjaar Jo Inhone Ijad Kiye Aaj Bhi Moujud Hai, Aise Gharo Ke Andar Jaha Log Jama Karte Hai Mukhtalif Purani Cheeze, Aise Museum Me Aaj Bhi Jama Hai, Jo Iss Dour Me Aaj Istemal Ho Rahe Hai Hu-Ba-Hu Waise Hi They Wo Jaise Unhone Banaye. Aaj Tak Istemal Ho Rahe Hai, Chahe Fir Wo Daanto Ke Ilaaj Ke Liye Awjaar Ho, Pait Chirney Ka Muamla Ho Aur Operation Karne Ka Muamla Ho ,.. Chahe Fir Aankho Ke Andar Se Motiya Bind (Eye Cataract) Nikalney Ka Muamla Ho ,.. Musalman Iss Fun Me Maahir They ,..
– Hatta Ke Musalman 700 Saal Europe Ke Pahle Se “Eye Cataract” Hollow Needle Ke Jarye Aasani Se Nikal Letey They. Aur Europe Ne Yeh Practice 1400 C.E. Ke Baad Shuru Ki Wo Bhi Darte-Darte Ke Kahi Insan Andha Na Ho Jaye , Lekin Musalman 7th Century Tak Motiya Bind Nikal Letey They Aasani Se ,..

*Itney Maharat Rakhtey They Iss Field aur Iss Fun Me ,..
– Yeh Musalmano Ki Deyn Hai Yaad Rakhiye ,.. Isliye Ke Unkey Rab Ne Hukm Diya Ke Iqra’ Biāsmi Rabbika Al-Ladhī Khalaqa (Parh Apne Rab Ke Naam Se Jiss Ne Paida Kiya)” Tou Bas Apne Rab Ka Naam Lekar Padh Liya Aur Har Uloom Ke Andar Maharat Haasil Kar Li, Jo-Jo Naafey Aur Halaal Ilm Tha Sab Haasil Kar Liya ,..

♥ In’sha’Allah!!! Agley Part Me Hum Unn Musalman Scientist Ka Zikr Karenge Jinhone Apne Rab Ka Naam Lekar Ilm Haasil Kiya Aur Duniya Ko Kayi Aise Uloom Diye Jo Aaj Humari Zindagi Ka Hissa Hai ,…

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

Leave a Reply