Seerate Hazrat Abu Bakr Siddiq (R.A) ki Zindagi aur Martaba

Hazrat Abu Bakr Siddique (R.A) ki Zindagi

Laqab (Honorific Title):

Siddeeqe Akbar, Gaare Yaare Nabi, Afzalun Naas Ba’adal Ambiya, Saani Isnain, Khalifatul-Rasool, Ateeq.

Wiladat (Birth) :

Aapki Wiladat 573 C.A. me Makka me hui. Waalid ka naam Usman Abu Quhafa ibn Amir aur Waalida ka naam Salma bint Sakhar (Ummul Khair) hai.

Aap Quraish ke Banu Taym Kabeele se ta’aaluq rakhte hain. Aap ka Asal naam Abdullah hai.

Deen ki Daawat:

Aapki Daawat aur mashware se bahut saare log Islam me dakhil hue, jin me Hazrat Usman ibn Affan, Zubair Ibn Awwam, Talha Ibn Ubaidullah, Abdur Rehman bin Awf, Sa’ad ibn Abi Waqqas, Abu Ubaidah ibn Jarrah, Abdullah bin Abdul Asad (Abu Salama), Khalid ibn Sa’id aur Abu Huzifah ibn Mughirah (RaziAllahu Anhuma) mashhoor hain.

Aap ne 8 Gulamo ko Aazad karaya jo Musalman ho gaye they. jin me Mardo me Hazrate Bilal Habashi ibn Ribah, Abu Fakih, Ammar ibn Yasir aur Abu Fuhaira aur Aurto me Lubainah, Nahdiah, Umm Ubais, Harisah bint Muammil shamil hain. is ke liye Aap ne 40,000 dinar kharch kiye.

Waalid ne kaha Tum Budhe aur Kamzor Gulamo ko Aazad karate ho jis se hume koi Faida nahi hoga.”
Aap ne farmaya “Main tou Allah ki Raza ke liye Musalmano ko Aazad karata hu.

Seerate Hazrat Abu Bakr Siddiq (R.A) ki Zindagi aur Martaba
Seerate Hazrat Abu Bakr Siddiq (R.A) ki Zindagi aur Martaba

Siddeeqe Akbar Ka Laqab:

12 Nabawi (621 C.A.) me Meraj ke baad Huzoor (ﷺ) Ashaba ko Meraj ki baaten bayan kar rahe they. Hazrate Abu Baqr (RaziAllahu Anhu) thoda der se aaye. Aap aakar Huzoor (ﷺ) ke qareeb jaakar bethe.

Huzoor (ﷺ) ne phir se shuru se pura bayan shuru kiya. Aur Hazrate Abu Baqr (R.A.) har baat par farmate ‘Sadaqata ya RasoolAllah (ﷺ).’

Huzoor (ﷺ) ne khush hokar Aap ko ‘Siddeeque Akbar’ ka Laqab ata farmaya yaa’ni tamam Siddeeque me sab se bada.

Aap ke baare me Nabi-e-Kareem ﷺ ka Farman:

Aap ke baare me Pyare Aaqa (ﷺ) farmate hain ke,

  • (1) Abu Baqr ‘Afzalul bashar ba’adal Ambiya’ hain ya’ni ‘Ambiya ke baad tamaam insan me sab se Afzal.’
  • (2) Agar Abu Baqr ka Imaan meri tamam Ummat ke Imaan ke saath wazan me kiya jaaye tou Abu Baqr ka emaan gaalib aaye.
  • (3) Abu Baqr ka ye martaba sirf uski ibadat ki wajah se nahi hai, balke Allah Ta’ala ne uske Dil me jo khas rakha hai uski wajah se hai.
  • (4) Abu Baqr ke mujh par bahut Ahsan hain. uss ne Islam ke liye Apni jaan aur Maal bhi Qurban kiye hain aur apni Beti mere Nikah me di hai aur Abu Baqr ne Hazrat Bilal Habsi ko Aazad karaya hai.’

✦ Aap Ashra-e-Mubashara me se Hain:

  • Ek baar Huzoor (ﷺ) ne Aap se farmaya ‘Abu Baqr, Jannat me dakhil hone walo me tum sab se pehle rahoge.’
  • Ek baar Huzoor (ﷺ) ne farmaya ‘Jab Allah Ta’ala kisi momin ke liye bhalai ka irada karta hai tou usme koi khaslat paida farmata hai jis ke sabab wo Jannati ban jaata hai aur aisi 360 khaslate hain.’ Abu Baqr (R.A) ne puchha ‘Ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam), kya mujh me aisi koi khaslat hai?’ Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya – ‘Abu Baqr! tumhe mubarak ho ke tum me wo tamam khaslat moujood hai.’

✦ Ameerul Hujjaj:

9 Hijri me jab Hajj farz hua tou Huzoor (ﷺ) ne Aap ko Ameerul Hujjaj banakar Ashaba ko Aap ke saath Hajj ke liye bheja.

✦ Aap ki Mohabbat Nabi-e-Paak ke liye:

10 Hijri me Hajjatul Wida ke Mouqe par bhi Rasool’Allah (ﷺ) ke saath rahe. jab ye Aayat naazil hui ‘Aaj ke din hum ne tumhare liye tumhara deen mukammal kar diya aur tumhare liye deen-e-Islam pasand kiya.’ tou Ashaba khush hue ke Allah Ta’ala ne Deen-e-Islam ko mukammal kar diya.

Magar Aap Gamzada ho gaye. jab puchha gaya tou farmaya ke: Ye sahi hai ke Deen-e-Islam ko Allah Ta’ala ne mukammal kar diya hai. magar Deen mukammal hone ke baad mumkin hai ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) hum se Anqareeb parda (Rukhsat/Wafat) farmayenge. main ye sochkar ghamzada hu.

✦ Wafat-e-Rasool par Aapki Sujat:

Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke wafat ke baad sab Ashaba Gamzada they aur Hazrate Umar Farooq (RaziAllahu Anhu) ne tou farma diya tha ke – ‘Agar kisi ne mere saamne ye kaha ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) ka Inteqal ho gaya hai aur Aap (ﷺ) humare darmiyan me nahi hain tou mai talwar se uski Gardan kalam kar dunga.’

Aise mahoul me sab khamosh they tab Hazrate Abu Baqr uthkar aage aaye aur Khutba padhney ke baad Ashaba se farmaya ‘Agar koi Muhmmad (ﷺ) ki parastish karta ho tou wo jaan jaaye ke huzoor (ﷺ) inteqal kar gaye hain aur Jo Rabbe Muhammad (yaani Allah) ki ibadat karta ho tou wo jaan le ke Allah Zinda hai aur kabhi marne wala nahi.

✦ Aap Islam ke pehle Khaifa rahe:

Huzoor (ﷺ) ke Wafat ke baad Hazrate Umar Farooq (RaziAllahu Anhu) ke mashware par Aap ko khalifa banaya gaya. Aap 13 Rabi-Ul-Awwal 11 Hijri (8 June 632 C.A.) ko sab se pehle khalifa hue. Aap ka Dour-e-Khilafat 2 saal 4 maah ka raha.

✦ Quraan-e-Kareem ki Hifazat:

11 Hijri (632 C.A.) me Junge Yamama me taqreeban 70 Ashaba Shaheed hue jo Haafize Qur’an they. Hazrate Umar Farooq (RaziAllahu Anhu) ne Aap se farmaya ‘Iss tarah Haafize Qur’an kum hote rahe to Qur’an ki hifazat karna mushkil hoga. behtar hai ke hum Qur’an ko jama karke kitaab bana len.’

Iss tarah Hazrate Umar Farooq (RaziAllahu Anhu) ke mashware se Qur’an Majeed ko jama karke kitaab banane ka kaam Shuru kiya gaya, jo Hazrate Usman Ghani ke Zamane me mukammal hua.

✦ Aapka Pariwaar:

Aap ko 4 Biwiya, 3 Bete aur 3 Betiya thi.

  1. Qutaylah bint Abd-Al-Uzza se 1 Beta – Abdullah aur 1 Beti – Asma,
  2. Umme Rumman se 1 Bata – Abdur Rehman aur 1 Beti – Aaisha,
  3. Asma bint Umays se 1 Beta – Muhammad,
  4. Habibah bint Kharijah se 1 Beti – Umme Kulsum.

• Sirf Aap Hi Aise Sahabi hain Jinke Waliden Aur Aulaad Bhi Ashaba Hain.

✦ Aap Nabi-e-Paak ﷺ ke sabse Qareebi Dost hai:

  • Aap ‘Gare Yaare Nabi’ hain yaani Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke sab se Qareebi Dost.
  • Aap ko Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne har khaas mouqe par aur mehfil me saath aur Qareeb rakha.
  • Hijrat (Migrate Macca to madina) me bhi Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne sirf Aap ko saath liya.

✦ Wisaal / Wafat (Death):

Wafat Aap ki 22 Jamaadil Aakhir 13 Hijri 23 August 634 CA ko 63 baras ki Umr me Madina me hui.

Namaze Janaza Hazrate Umar Farooq (RaziAllah Anhu) ne padhai. Aap ki tadfeen Roza-e-Rasool me Huzoor (ﷺ) ke bagal me ki gayi.

♥ Allah Rabbul Izzat Se Dua hai ke:
Allah Hum tamam ko Hidayat ata farmaye,
Hume Sirate Mustakim par chalaye,
Jab tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey,
Khatma Humara Imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

• Note: Likhne me koi khata hui ho tou Jarur Ba-Daleel humari Islah kare… Dua ki Darkhwast.

3 Comments

Leave a Reply