Har Jaandaar ke Saath Neki karne ka Sawaab Milta Hai (There is a Reward for serving any Living being)

✦ Hadees: Roman Urdu ✦

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“1 Shakhs raste mein chal raha tha ke usey Shiddat ki pyaas lagi usey Ek Kunwa(Well) mila aur usne isme utar kar paani piya. jab bahar nikla tou wahan Ek Kutta dekha jo haanp raha tha aur Pyaas ki wajah se tari ko chat raha tha. is Shakhs ne kaha ke yeh Kutta bhi itna hi Ziyada pyasa maloom ho raha hai jitna mein tha.
chunanche woh phir kunvey mein Utra aur apne jootay mein pani bhara aur moohn se pakad kar Upar laya aur kuttey ko pani pilaya. Allah Ta’ala ne is ke is amal ko pasand farmaya aur is ki maghfirat kar di.
Sahaba kiraam ne arz kiya ke “Ya RasoolAllah(ﷺ)! kya hume Janwaron ke Sath Neki karne mein bhi Sawab milta hai?” Aap (ﷺ) ne farmaya ke “Tumhe har Geeley kalejey waley par Neki karne me Sawab milta hai.”

– (Sahih al-Bukhari 6009)


 

✦ Hadith: English Translation ✦

♥ Mafhoom-e-Hadith: Narrated Abu Huraira: Allah’s Messenger (ﷺ) said,
“While a man was walking on a road. he became very thirsty. Then he came across a well, got down into it, drank (of its water) and then came out. Meanwhile he saw a dog panting and licking mud because of excessive thirst. The man said to himself “This dog is suffering from the same state of thirst as I did.” So he went down the well (again) and filled his shoe (with water) and held it in his mouth and watered the dog. Allah thanked him for that deed and forgave him.” The people asked, “O Allah’s Messenger (ﷺ)! Is there a reward for us in serving the animals?” He said, “(Yes) There is a reward for serving any animate (living being) .”

– (Sahih al-Bukhari 6009)

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

Leave a Reply