Halala ka Nikah karne wale ka Gunaah (Halala karne wale par Allah ki Lanat)

Halala aise Nikah ko kehte hai jisme koi aadmi 3 Talaq waali aurat se sirf Talaq ki niyat se Nikah aur Sohbat karta hai taaki woh Aurat pehle Shohar ke liye halal ho jaye. yaani Galati Mard kare aur Saza Aurat bhugtey, ye kounsa deen hai ? agar aap tehkik karo tou Jaan jaoge ke ye Jahilo ki deyn hai. Halala Karna aur karwana kitna sangeen gunah hai aahdees ka mutala karte hai.

✦ Roman Urdu Hadees:

Ibn Abbas (RaziAllahu Anhu) kahte hai, Rasoole Akram (ﷺ) ne farmaya: “Halala karne wala aur karaane wala dono mala’oo’n hai (Lanat ke Qabil) hai.”

– (Sunan Ibne Majah 1934-Sahih)

✦ हिंदी हदिस:

इब्ने अब्बास (रज़ी अल्लाहु अन्हु) कहते है के, रसूले करीम (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: “हलाला करने वाला और कराने वाला दोनों मलऊन (लानत के क़ाबिल) है.”

– (सुनन इब्ने माजाह 1934-सहीह)

✦ English Hadith:

It was narrated that Ibn ‘Abbas said: “The Messenger of Allah cursed the Muhallil and the Muhallal lahu.”

– (Sunan Ibne Majah 1934-Sahih)

 


✦ Roman Urdu Hadees:

Utba bin Aamir (RaziAllahu Anhu) kehte hai, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: “Kya Mai tum logo ko bhaadey ka bakra na batlaau ?”

Sahaba ne arz kiya, ji ha ! Aye Allah ke Nabi jarur bataye!
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Wo Halala karne wala hai, Allah Ta’ala halala karne wale aur karane wale dono par laanat farmaye.”

– (Sunan Ibne Majah 1936-Hasan)

✦ हिंदी हदिस:

उक़्बा बिन आमिर (रज़ी अल्लाहु अन्हु) कहते है के, नबी-ऐ-करीम (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: “क्या मैं तुम लोगो को भाड़े का बकरा न बताऊ ?”

सहाबा ने अर्ज़ किया, जी हाँ ! ऐ अल्लाह के नबी जरूर बताये, आप (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: वो हलाला करने वाला है, अल्लाह तआला हलाला करने वाले और कराने वाले पर लानत फरमाए।”

– (सुनन इब्ने माजाह 1936-हसन)

✦ English Hadith:

‘Uqbah bin ‘Amir narrated: that the Messenger of said: ‘Shall I not tell you of a borrowed billy goat.”

They said: “Yes, O Messenger of!” He said: “He is Muhallil. May curse the Muhallil and the Muhallal lahu.”

– (Sunan Ibne Majah 1936-Hasan)

Halala ke Talluk se tafseeli jankari ke liye is Mukhtasar si Video Speech ka Muta’ala kare.
Talaq, Halala aur Khula ki Hakikat

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

Leave a Reply