Hajjatul Wida Ke Mouke Par RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Mubarak Khutba

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hajjatul Wida Ke Mouke Par Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Muslmano Se Aakhiri Khutba Irshad Farmaya..
“Aye Logo Shayad Ayinda Saal Ya Fir Kabhi Tumse Yaha Mulaqat Na Ho Sake. Jo Tumse Gareeb Hai Unhe Wohi Khilao Jo Tum Khate Ho, Wohi Pehnao Jo Tum Pehnte Ho, Ke Sab Ko Allah Hi Ki Taraf Loutna Hai, Aur Wo Tumse Tumhare Amaal Ka Hisab Lega.

Jo Moujud Hai Wo Unhe Batado Jo Moujud Nahi Hai, Ke Tum Sab Ek Aadam Ki Aoulad Ho Aur Tum Me Sabse Behtar Wo Hai Jise Allah Ka Khouf Hai.

Mai Jo Kuch Kahoo Usey Gour Se Suno ‘Ayyam-e-Jahiliyat Ke Makhtulin Ka Kasaas Aur Diyat Dono Khatm Ki Jati Hai’

Yaad Rakho Har Muslman Dusrey Musalman Ka Bhai Hai, Aur Tamaam Musalman Aapas Me Bhai-Bhai Hai.
Muslmano Me Rang, Nals Aur Kabile Ka Koi Imteyaj Nahi, Koi Musalman Kisi Dusre Ke Maal Par Najayaz Tassaruf Nahi Karega, Warna Yeh Ek Dusre Par Zulm Ho Jayega.

Logo Gour Se Suno Jo Cheez Mai Tum’me Chorey Ja Raha Hu, Wo Cheez Nihayat Wajeh Aur Roshan Hai. Aur Wo Hai Allah Ki Paak Kitab Aur Uske Rasool Ki Sunnat. Agar Usey Mazbuti Se Pakde Raho Tou Kabhi Thokar Na Khaoge”.

Fir Aapne Takmil-e-Deen Ke Hawale Se Iss Ayat Ki Tilawat Farmayi.

♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥

“Aaj Ke Din Hamne Tumhare Liye Deen Ko Mukkamal Kar Liya. Aur Apni Neymat Hamne Tumahre Liye Tamam Kar Di. Aur Tumhare Liye Deen-e-Islam Ko Pasand Kar Liya”.

(Al- Quran; Sureh – Maidah 5:3)

♥ in’ sha’ Allah ul Azeez ! Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufik dey,.. Ameen,..

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

Leave a Reply