Gheebat Nekiyo ko Jaya kar deti hai

♥ Mafhoom-e-Hadees:

Ibne Abbas (RaziAllahu Anhu) se riwayat ki “2 Shakh ne Zohar ya Asar ki Namaz padhi aur wah dono Rozdar they, Jab Namaz padh chuke Nabi-e-Karim (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya ‘Tum Dono Wuzu karo aur Namaz ko dobara padho aur Roza pura karo aur dushre din is Roze ki Qaza karna.’

Unhone arz kiya ‘Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Ye Hukm kis liye ?’

Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya “Tumne falah Shakhs ki Gheebat ki hai.”

SABAQ:

Is Aahadees se Maloom hota hai ke Gheebat karna yaani kisi ke peeth piche uski burayi karna insan ke nek Amal ko jaya kar deti hai, Lihaza har haal me Gheebat jaise Haraam kaam se apne imaan ko salamat rakhne ki koshish kiya kare.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez ! Allah Rabbul Izaat hume kehne Sun’ne se Jyada Amal ki taufiq dey.

Leave a Reply