Tawheed aur Shirk – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Tue, 21 Jun 2022 18:47:29 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Tawheed aur Shirk – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Shirk Sabse Bada Zulm hai https://ummat-e-nabi.com/shirk-sabse-bada-zulm-hai/ https://ummat-e-nabi.com/shirk-sabse-bada-zulm-hai/#respond Sat, 11 Jun 2022 16:06:30 +0000 https://ummat-e-nabi.com/shirk-sabse-bada-zulm-hai/ Shirk Sabse Bada Zulm haiShirk Sabse Bada Zulm hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ “Luqman (A.s.) ne apney betey ko Naseehat karte hue kaha ke beta Allah ke saath kisi ko Shareek Naa karna, Shirk tou […]

The post Shirk Sabse Bada Zulm hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Shirk Sabse Bada Zulm hai

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Luqman (A.s.) ne apney betey ko Naseehat karte hue kaha ke beta Allah ke saath kisi ko Shareek Naa karna, Shirk tou bada Zulme Azeem hai.”

📕 Surah Luqman 31:13

Rating: 5 out of 5.

Is Aayat se pata chalta hai ke:
Shirk sabse bada Zulm hai jo banda khud apne upar karta hai Allah ki Zaat me Kisi ko shareek kar ke.

Allah Ta’ala hume Mouheed (Tawheed parast) banaye, aur har tarah ke shirk se Apni panah ata farmaye. Ameen.

The post Shirk Sabse Bada Zulm hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/shirk-sabse-bada-zulm-hai/feed/ 0 19262
Tawheed aur Shirk : Part:1 https://ummat-e-nabi.com/tawheed-aur-shirk-part-1/ https://ummat-e-nabi.com/tawheed-aur-shirk-part-1/#respond Mon, 08 Aug 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/tawheed-aur-shirk-part-1/ TawheedShirk1✦ Mushriko ke Nek Aamal Unhe Aakhirat me koi Fayda nahi Dega: ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Roz Ummhatul Momineen Hazrate Ayesha Siddiqa (RaziAllahu Anha) Ne Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Ek […]

The post Tawheed aur Shirk : Part:1 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

✦ Mushriko ke Nek Aamal Unhe Aakhirat me koi Fayda nahi Dega:

♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Roz Ummhatul Momineen Hazrate Ayesha Siddiqa (RaziAllahu Anha) Ne Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Ek Shakhs Ke Talluk Se Sawaal Kiya –
Ya Rasool’Allah! Abdullah-Bin-Judan Kaha Jayega? Abdullah Bin Judan Ka Kya Hoga ?
Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke –
‘Aye Aayseha!!! Abdullah Bin Judan Jahannum me Jayega. KyunKe Usney Kabhi Apne Rab se Yeh Nahi Kaha – Ke Aye Rab! Mere Gunaaho ko Muaf Kar (Yaani Kabhi Imaan nahi Laaya aur Imaan La kar Kabhi Apney Rab se Taubah nahi ki.
Iss Buniyad par Abdullah Bin Judan Jahannum me Jayega).
(Sahih Muslim)

• Wajahat: Ab Yeh Abdullah-Bin-Judan Hai Koun Jiske Taaluk Se Ummaha-tul-Mominen (Yaani Ummat-e-Muslima Ki Maa) Sawaal Kar Rahi Hai ?
– Aayiye Abdullah-Bin-Judan Ki Shakhsiyat Ke Baarey Me Jara Gour Karte Hai!

*Abdullah-Bin-Judan Wo Shakhs Tha Jo Bohot Sakhi(Daryadil) Insan Tha,. Yeh Makke me Aaney Wale har Shakhs ko Paani Pilata ! har Aane Waaley Haajiyo ko Tohfe me Bakriya deta ! aur Yeh Roz Gareebo aur Miskeeno ko Khana Khilata ! Nango ko kapde pehnata.

Aur Iske Khane Khilane ke Talluk se Yeh baat Mash’hoor thi ke – Muslim ki ek Riwayat me RasoolAllah (ﷺ) ke Talluk se Ek Hadees me Aata hai Ke – ‘Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Garmi Ke Tapish Se Bachney Ke Liye Zohar Ki Namaz Ke Baad Uss Deg Ke Saye Me Let’tey Aur Baith’tey Jis Deg Me Yeh Logon Ko Khana Banakar Roz Khilata’.

*Isi Tarha Shaam (Syria Country) me ek baar Sukha pada tou Abdullah Bin Judan ne 1000 Uoonth(Camel) maal se ladey Shaam (Syria) bheje! taaki Unn logon ki madad ho.

Yeh Wo Shakhs tha Jiski Sakhawat ka yeh haal hai. yeh Shakhs neki ki Raah me Dil khol kar Maal kharch karta iskey taaluk se Sawaal ho raha hai ke yeh Shakhs marne ke baad kaha jayega (Jannat ya Jahannum) ?

Tou Aap(ﷺ) ne Farmaya Ke – ‘Isne iman nahi Laya aur Apne Rab se yeh nahi kaha ke, Aye mere Rab! Mujhey Muaf Kar!’

Sabaq:

Yahi Hai Tawheed ki Ahmiyat jo Jannat aur Jahannum ka fark karti hai! ke Jo Log Beshumar Nek Amal Karte Hai Wo Mehaz Aakhirat Me Iss Buniyad Par Jahanam Me Fenk Diye Jayenge Jisne Apne Rab Ke Sath Dusrey Maboodo Ko Shareek Thehraya ,.. ! Liahaza Aise Mushriko Ka Nek Amaal Unhe Aakhirat Me Koi Fayda Nahi Dilayega. Aur Uss Din Aise Logon Ka Koi Bhi Nek Amaal Inhey Fayda Nahi Pohchayega! Unka Koi Madadgaar Na Hoga..

Allah Rabbul Izzat Qurane Majid me Irshad Farmata Hai –

“Beshaq Allah Ta’ala Shirk ko Muaf nahi Karega aur Uss ke Alaawah Jis Gunaah ko Jis ke liye Chahega Muaf kar Dega.”

– (Al-Quran: Surah Nisa; 4:48)

*Allah Ta’ala! Shirk Jaise Kabira Gunaaho Se Hum Sabke Amaal Ki Hifazat Ata Farmaye..
*Tamaam Ummat-e-Muslima Ko Haq Halaal Parast Banaye
*Aur Haraam Se Parhez Karne Ki Toufiq Ata Farmaye!! Ameen Allahumma Ameen !!!!
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

*Agle Post Tawheed Aur Shirk (Part 2) me hum ‘La Ilaha Illallah’ ke taqazo ka Zikr karenge.

☼ Tawheed aur Shirk | All Parts:

1 2 3

The post Tawheed aur Shirk : Part:1 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/tawheed-aur-shirk-part-1/feed/ 0 16814
Tawheed aur Shirk (Part:2) https://ummat-e-nabi.com/tawheed-aur-shirk-part-2/ https://ummat-e-nabi.com/tawheed-aur-shirk-part-2/#respond Mon, 08 Aug 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/tawheed-aur-shirk-part-2/ TawheedShirk2✦ Kalma-e-Shahadat “La Ilaha Illallah” Ke Taqaze Islam Ke 5 Faraiz (Kalma-e-Shahadat, Namaz, Roza, Zakaat Aur Hajj) Me Hum Pahla Kalma (Kalma-e-Shahadat) Tou Badi Aasani Se Padh Letey Hai. Lekin […]

The post Tawheed aur Shirk (Part:2) appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

✦ Kalma-e-Shahadat “La Ilaha Illallah” Ke Taqaze

Islam Ke 5 Faraiz (Kalma-e-Shahadat, Namaz, Roza, Zakaat Aur Hajj) Me Hum Pahla Kalma (Kalma-e-Shahadat) Tou Badi Aasani Se Padh Letey Hai. Lekin Iski Ahmiyat Se Bekhabar Hai..

Kalma-e-Shahadat Me Hum Padhte Hai “La Ilaha Illallah Muhammadur Rasool’Allah” aur yeh Kalma sirf ek Kalma nahi bulki iske sath kuch taqaze (usool) bhi hotey hai.
Jaise ke – Ab tamam zindagi sirf isi ek haqeeqi Rab ki ibadat karu, iskey Rasool ki ita’at karu, isi par Imaan rakhu aur isi par mera khatma ho ke Mai ek Allah par imaan rakhta hu. yahi toh Taqaze hai iss kalma-e-shahadat ke.

*Afsos Ke Hum Kalma Tou Aasani Se Keh Detey Hai Lekin Iske Taqaze Hum Mukammil Bhul Chukey Hai.
Aur Afsos Ki Baat Hai Ke – Abu Jahal Aur Mushrikin-e-Makka Iss Kalme Ke Taqaze Humse Jyada Jante The..

*Isiliye Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Tirmizi Ki Riwayat Me Farmaya Ke – “Kulu Lailaha Illahah Tuflu’um Tamlikum Arab Wa Azam” !
“Ke (Aye Mushriko!) Tum Keh Do Ke – Allah Ke Siwa Koi Mabood Nahi Ibadat Ke Layak Tou Arab Tou Tumhara Hi Hai Azam Bhi Tumhara Ho Jayega.”
*Unhone Kaha – Yeh Nahi Keh Sakte Hum!
… Kyunki Wo Jante They ‘La Ilaha Illallah’ Sirf Ek Kalma Nahi Hai, Balke Sath Me Kuch Taqaze Bhi Lata Hai, Aur Taqaze Yeh Ke ‘La Ilaha Illallah’ Kahenge Tou 360 Maboodo Ko Chorkar Sirf Ek Allah Ko Man’na Padega, Wo Kahne Lage – Aye Mohammad Ye Nahi Hone Wala Humse. !!! ‘
– (Tirmizi Sharif)

*Mushrikan-e-Makka Ko Maloom Tha Ke Yeh Kalma Kaisi Sharte Lata Hai, Ek Allah Ki Ibadat, Iss Nabi Ki Ita’at Aur Fir Iss Kitab Quraan-e-Kareem Par Amal. Wo Yeh Sab Jante They.

# Aur Aaj Ka Musalman Kalma Tou Badi Aasani Se Padh Leta Hai Lekin Taqaze Ka Kuch Pata Nahi,
Balke ‘La Ilaha Illallah’ Kehne Ke Baad Tou Wo Shirk Me Aur Jyada Mulawwis Ho Jata Hai,
Allah Ki Tawheed Ke Aur Barkhilaf Kaam Karta Hai ,…

*Isliye Humne Kaha Ke Wo Humse Jyada Taqaze Jante They Iss Kalma-e-Tawheed Ka…
*Aur Arbo Me Ek Khususiyat Thi Ke Wo Apne Wado Ke Khilaf Kabhi Nahi Jaya Karte They.
… Fir Agar Wo Keh Detey Ke ‘La Ilaha Illallah’ Tou Unko Maloom Tha Ke Khilaf Warji Nahi Ho Sakti Iski.
… Isliye Unhone Nahi Kaha. Ke ‘La Ilaha Illallah’ –

*Pahle Hum Isme ‘Inkaar’ Karte Hai Tamam Maboodo Ka
*Aur Fir ‘Iqraar’ Karte Hai Sirf Uss Ek Mabood “Allah Rabbul Izzat” Ka..

… Pahle Inkaar Fir Iqraar,
*Lekin Musalman Aajka ‘Kalme Ka Tou Iqraar Karta Hai’ Aur Baadme Saare Iss Kalme Ke Inkaari Amal Karta Hai.
Yaha Tawheed Ka Tou Iqraar Kar Liya Ke ‘La Ilaha Illallah’ Lekin Fir Shirk Bhi Chalu Hai,
*Fir Kehta Hai Allah Ke Alaawa Koi Aur Bhi Deta Hai,..
*Fir Allah Ke Siwa Zindagi Aur Mout Par Koi Aur Bhi Qaadir Hai (Nauzubillah) ..

.. Ajib Muamla Hai Humari Gaflat Ka.
*Lihaja Hum Sab Par Lazim Hai Ke Iss Kalme Ki Ahmiyat Ko Jaaney Aur Iske Taqazo Par Amal Karey.
Insha’Allah !!! Allah Ta’ala Hume Kahne’ Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq Dey …

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

*Agli Post Tawheed Aur Shirk (Part 3) Me Abu Talib, Abu Lahab Aur Abu Jehal Ke Aqeede Aur Unkey Hashr Ka Zikr Karenge …

☼ Tawheed aur Shirk | All Parts:

1 2 3

The post Tawheed aur Shirk (Part:2) appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/tawheed-aur-shirk-part-2/feed/ 0 16834
Tawheed aur Shirk (Part 3) https://ummat-e-nabi.com/tawheed-aur-shirk-part-3/ https://ummat-e-nabi.com/tawheed-aur-shirk-part-3/#respond Mon, 08 Aug 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/tawheed-aur-shirk-part-3/ TawheedShirk3✦ abu talib, abu lehab aur abu jehal ka hashr 1. Abu Talib: Aap wo Shakhssiyat hai jo kisi taruf ki mohtaz nahi. har seerat ka talibe ilm Abu Talib […]

The post Tawheed aur Shirk (Part 3) appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

abu talib, abu lehab aur abu jehal ka hashr

1. Abu Talib:

Aap wo Shakhssiyat hai jo kisi taruf ki mohtaz nahi. har seerat ka talibe ilm Abu Talib ke talluk se jaanta hai. yeh Rasoolallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke Chachaon me se ek chacha they, aur yeh wo chacha hai jo imaan nahi laaye lekin Aap (ﷺ) ki har kism ki mumkin madad ki, maal se madad ki, apna jo asar aur rusooq tha uss se RasoolAllah (ﷺ) ki madad ki.

jab tak abu talib hayat they kisi ki himmat na hui ke RasoolAllah (ﷺ) kuch kar sakey yeh Abu Talib ke inteqal ke baad ke Waqayat they jab aapko mushrikane makka ki janib se takleef milti thi.

Mushrikine Makka Sahaba ko badd se baddtareen Aziyate pohcha rahe they lekin RasoolAllah (ﷺ) ki taraf koi nazar bhi nahi uthata hai isiliye ke agar humne Mohammad (ﷺ) ko koi dhakka pohchaya tou Quraish humare khilaf ho jayenge isiliye ke Abu talib ki madad iss Shakhs (ﷺ) ke sath hai.

Yeh Abu Talib ki shakhsiyat thi. RasoolAllah (ﷺ) ki poori madad ki har mumkin koshish ki. lekin jab inke inteqal ka waqt aata hai, aur Aap (ﷺ) kehete hai ‘Chacha! imaan la lo.’ to wo kahne lage – ‘Aye mere bhatije! mai emaan nahi la sakta log kahenge ke Abu Talib apne aakhri waqt me apne Aaba-o-Azdad ke deen se fir gaya.’

Aap (ﷺ) ne kaha  ‘Chaha agar aapko Sharmindagi mehsus ho rahi hai tou mere kaan me hi keh do, mai Roze Qayamat Allah se Aapke Haq me Sifarish karunga.’

Abu Talib ne kaha Ke “Nahi! mai yeh bhi nahi kar sakta ..” aur isi me Abu Talib ka inteqal ho gaya. fir Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) par Aayat nazil hoti hai:

❝Aye Nabi (ﷺ) ! jisko Aap chaho Hidayat nahi de sakte, Allah jisko chahta hai hidayat deta hai.❞ [Surah Al-Qasas 28:56]

Shaba ne pucha  ‘ya Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Abu Talib ka kya hoga? Jannat me jayega ya Jahanum me ?’

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ‘Abu Talib ko Jahannum ka sabse halka Azab diya jayega, aur Azab yeh hoga ke Abu Talib ke takhno tak jahannum ki aag hogi. ek riwayat me aata hai ke jahannum me aag ki jutiya (shoes) pahnaya jayega, lekin uski tapish itni jyada hogi ke uska bheja sir me kholta rahega. aur abu talib yeh samjhenge ke yeh Azab sabse jyada hai.’

lekin Jannat se hamesha ke liye mehroom kar diye jayenge, isiliye kyunki ek Haqeeqi Rab par imaan nahi laye. Tawheed par Aqeeda na rakha lihaja Jahannum hi Abu Talib ka Aakhri thikana hoga. yeh hai Tawheed ki Ahmiyat jo Jannat aur Jahannum ka fark karaati hai.

2. Abu Jahal:

Aayiye Abu Jahal ke wakiye par gour karte hai. har seerat ka talibe ilm Abu Jahal ka naam janta hai. isney RasoolAllah (ﷺ) par kya Zulm nahi kiya, iske kisi bete ka Naam Jehal nahi tha. yeh Abu Jehal tou isliye kehlaya ke  ‘Imaan nahi laya jahalat ko ikhtiyar kiya’. isi liye isey Jahilo ka Baap kaha jata hai.

Iska asli naam tha Abul Haqam tha, Yaani ‘Hiqmato ka Baap’. ye apne peshe me itna maahir tha ke Quraish ke tamam Muamlat puri duniya se yahi sambhalta tha, purey International Deal, Badshaho se Talluk Qayam karna yeh saare kaam Abu Jehal sambhalta, log isey Abul Haqam kehte, jab usey emaan ki dawat aayi lekin wo emaan nahi laya tou sabse Aqalmand aadmi bhi sabse bewakuf aur jahil kehlaya.
lihaza Abu Jehal kehlaya Abul Haqam ke badley aur yahi Tawheed ki Ahmiyat hai jisney yeh fark kar diya hamesha ke liye.

3. Abu Lahab:

Tisra wakiya Abu Lahab ! aur abu lehab ko koun nahi janta yah RaoolAllah (ﷺ) ka dusra chaha hai yeh wo chachao me se hai jo Imaan nahi laya lekin sakht tha islam ke khilaf, yeh takleef deta RasoolAllah ko aur bohot gora chitta tha, aur yeh Abu Lehab tou isiliye kehlaya ke yeh itna khubsurat tha ke jab hasta ya Ghusse me aata tou laal ho jata angaar ki tarha tou kehlaya ‘Abu Lahab’ yaani ‘Angaar ka Baap’.
lekin iske talluk se puri Surah (Surah no.111 ; Surah Al-Masad) utar gayi ke ye bhi jahannum me jayega.

✩ Tawheed ki Fazilat

Ab Aayiye dekhte hai Tawheed ki Ahmiyat aur ispar Amal karne ka Silaah.
Abu talib, Abu Lehab aur Abu Jehal ke khilaf idhar Tawheed par Hazrate Bilal bin Raba (R.A) hai jo ghulaam hai, Abu Lehab jo dikhne me gora chitta hai aur Hazrate Bilal intehayi kaale hai lekin Bilal RasoolAllah (ﷺ) se Jannat ki khushkhabri sun rahe hai aur waha Abu Talib ko jahannum ki wahee aa rahi hai.

Tou wo kya cheez thi jisney Bilal (R.A.) ko Jannat ka mustahik bana diya aur Abu Talib, Abu Jahal aur Abu Lehab ko Jahannum ke hawale kar diya. yeh wohi tou sabse Aham baat thi ke Ek ne Allah par emaan laya  aur iss ke khilaf baki ne Allah ke sath Shirk kiya. lihaja emaan laney walo ko Jannat ki Khuahkhabri sunayi aur Shirk karne wale humesha humesha ke liye jahannum ke mustahiq ho gaye.

Yahi tou hai Tawheed ki Ahmiyat jo jannat aur jahannum ka fark kar deti hai. Aakhir me allah Rabbul Izzat se Dua hai ke, Allah hume Tawheed par qayam rakhe aur har kism ke Shirk se humare emaan ki salamati ata farmaye, jab tak hume zinda rakhe islam aur emaan par zinda rakhe, khatma humara emaan par ho…

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

☼ Tawheed aur Shirk | All Parts:

1 2 3

The post Tawheed aur Shirk (Part 3) appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/tawheed-aur-shirk-part-3/feed/ 0 16836