Iddat meaning in Hindi: Bewah Aurat Ke Liye Iddat ke Ehkam

Iddat kise kehte hai ?

Iddat us zamane (waqt) ko kehte hai jis me Aurat ke liye dusra Nikah kerna jaiz nahi hota, aur aisa waqt Aurat par 2 wajah se aata hai ya tou Uska Shohar us ko Talaq dede, ya fir dusra ye ke Uska Shohar Inteqal kar jaye.


Hamela (pregnant) Aurat ki Iddat :

Shohar ke Inteqal ke waqt Agar Biwi Hamela ho tou Delivery hone tak Iddat rahegi, Jaisa ke Quran kareem mein Irshade Ta’ala hai:

❝ Hamela Aurton ki iddat un ke waza Hamal (Yani baccha Janne) tak hai. [Surah At-Talaq 65:4]


Bewah (widow) Aurat ki Iddat :

Hamal (pregnant) na hone ki Surat mein Shohar ke Inteqal ki Iddat 4 Maah aur 10 din hai, Jaisa ke Allah Ta’ala ne Irshad farmaya:

❝ Tum me se Jo log Faut ho jayen aur Biwiyan Chhod jayen to wo Aurten apne Aap ko Chaar Maah aur Dus din iddat me rakhen.” [Surah Al-Baqarah: 234]

Bewah Aurat (iddat ke daur me) kin cheezo se parhez kare ?

✦ Mafhum-e-Hadees: Ummul Mu’minin Umme Salmah (RaziAllahu Anha) farmati hain ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Irshad farmaya: “Bewah Aurat (iddat ke daur me) Rangeen kapde Nahin Pehnegi, na Zard na Geru (Surkh Mitti) se range hue, isi tarah wo na Zewraat istemal karegi aur na mehndi aur surma lagaye gi. [Sunan Abu Dawud :: Vol. 2 :: Hadith 534, 2304]

Wajahat: Shariat-e-Mutahrah mein Bewah Aurat par Shohar ki Wafat ki Iddat Lazim hai.

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

Leave a Reply