Behatreen Aurat ki Sifat aur Pehchan

✦ Behtarin Aurat Ki Sifat

Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) se pucha gaya ki, “Behatreen Aurat kaunsi hai ?.” Tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Wo Aurat jisko uska Shohar jab dekhe tou wo usko khush kar de, aur jo hukm wo (Shohar) usko de wo uski farmabardari kare Aur Apne Nafs aur Daulat me uske khilaf koi kaam na kare.”
– (Sunan Nasaii, Jild 2, 1143-Sahih)


✦ Behtarin Aurat Ki Pehchan

Rasool’Allah (ﷺ) se daryaft kiya gaya ki ‘Behtarin Aurat ki Pehchan kya hai ?’ tou Aap (ﷺ) ne farmaya – “Jo Aurat apne Shohar ki Ita’at wa farmabardari kare.”
– (Nisaai Sharif: Jild-2, Page-364)


✦ Jannati Aurat ki Pehchaan

Allah ke Rasool (ﷺ) ne ek roz Sahaba-e-Kiraam se irshad farmaya ki “kya mai tumhe Jannati Aurat ke baare me na bataoun?” tou Sahaba ne Arz Kiya “Aye Allah ke Rasool! zaroor batayen!”
tou Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ki “Har wo Aurat Jo Shohar se bohot Mohabbat karne wali, zyada bacche jan’ne (paida karne) wali, Jab uska shoher naraaz ho tou wo apne shohar ke hath me hath deker kahe ki “Uss waqt tak is jagah se nahi hilungi jabtak ki aap mujhse raazi nahi ho jayege!”
– (Sukoon-A-Khana, Pg-130-31)


✦ Jannat ki Aurton aur Hooron ki khubi

!!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!

❝ Agar tum Allah se darne wali ho tou baat me ‘Naram’ Andaaz na ikhtiyar karo ke dil ki kharabi me mubtala koi shakhs laalach me pad jaye.

– (Al-Quraan : Sura-e-Ahzab 33:32)

❝ Jannat ki Aurto’n aur Hooro’n ki khaas khubi ye hai ke woh Nigaahe’n neechy rakhne wali hain.

– (Al-Quraan : Sura-e-Rehman)

❝ Aur apni Zeib-O-Zeenat zahir na Karei’n siwaaye uske Jo azkhud zahir ho jaye.

– (Al-Quraan : Sura-e-Noor :24:31)

❝ Jo Aurat Namaz padhe, Roze rakhe, apni Izzat ki hifazat kare, Shohar ki Ita’at kare, wo Jannati hai.

– (Ibne Habban)

# Related Hadith

  1. Behtareen Biwi aur Behtareen Shohar ki Pehchan
  2. Nek Aur Farmabardar Aurat Ka Silaah
  3. Aurto ki Jannat ya Dozakh Unka Shohar hai
  4. Shohar ki Napasandida baato se doori Ikhtiyar kare
  5. Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam
  6. Shohar ki Nashukri Karna ek tarha ka kufr hai
  7. Apne Shohar ke siwa dusre Mard ka zikr na kare
  8. Shohar par Biwiyon ke Huquq Kya hai ?
  9. Kya Biwi Shohar ko Zakaat de sakti hai?
  10. Aurat ke liye Shirk ke baad sabse bada Gunaah
  11. Aurat ke liye Parde ka Hukm Qurano Sunnat ki Roshni me
  12. Binaa kisi khas wajah se Talaaq mangne waali Aurat ka Hashr

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

Leave a Reply