Meraj me Nabi (ﷺ) ko 3 Cheeze Ata ki gayi jo Aap se pehle kisi bhi Nabi ko nahi di gayi.

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

✦ Hadith Roman Urdu:

Hazrate Abdullah bin Masood (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki:
❝Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko Jab Meraj hui tou Aap (ﷺ) ‘Sidrat-Ul-Muntaha’ tak pahunchey, waha Aap (ﷺ) ko 3 Cheezein di gayee jo Aap se pehle kisi bhi Nabi ko nahi di gayi.

Ek paanch (5) Namazein, Dusra Surah Baqra ki aakhri 2 Aaytein, Teesra Alllah Subhanahu Ta’ala ne baksh diya Aap (ﷺ) ki Ummat me se har uss shakhs ko jo Allah ke saath Shirk nahi karey.

📕 Jami` at-Tirmidhi; Arabic: Hadith 3587


✦ English Hadith:

Narrated [‘Abdullah] bin Mas’ud:
“When the Messenger of Allah (ﷺ) reached Sidrat Al-Muntaha” He said: ‘There terminates everything that ascends from the earth, and everything that descends from above. So there Allah gave him three, which He did not give to any Prophet before him: He made fiver prayers obligatory upon him, He gave him the last Verses of Surat Al-Baqarah, and He pardoned the grave sins for those of his Ummah who do not associate anything with Allah.

📕 Jami` at-Tirmidhi; Arabic: Hadith 3587
📕 English: Vol. 5, Book 44, Hadith 3276

Leave a Reply