By Mohammad Salim

Founder, Designer & Developer of Ummat-e-Nabi.com | Worlds first Largest Islamic blog in Roman Urdu. Alhumdulillahﷻ, Ummat-e-Nabi.com is established successfully since 9 years, our website provides prominent, authentic Hadith, Motivational Articles & Videos in the light of Qura'n & Sunnah.
Showing 40 of 1,910 Results

Ramadan Day 11 | Khajur se Iftar kare aur Khajur na miley tou Paani se kare

Ramadan Quotes: 11th Ramzan ✦ Roman Urdu Hadees: Salman-Bin-Amr (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:”Jab Tum me se koi Roza Iftar karne lage tou Khajur se Iftar kare aur agar Khajur na miley tou Paani se kare, Kyunki Paani Paak karne waala hai.” [Sunan Ibn Majah 1699-Sahih]

Ramadan Day 2 : Jisne Imaan ke Saath Sawab ki Niyat se Ramzan ke sare Roze rakhe

02nd Ramzan Hadith Quote: Abu huraira (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallhu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ❝ Jisne Imaan ke saath Sawab ki niyat se Ramzan ke Roze rakhe uske pichle saare Gunaah bakhsh diye jayenge.” Sunan Ibn Majah, 641-Sahih

Ramadan Day 1 : Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye

01st Ramzan Quote: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:“Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye, jaise tumse pichli Ummato par humne farz kiye they ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.”📕 Surah Baqrah 2:183