Kya ghar me Aurat aur mard Aik Sath Jamat bana kar Namaz padh Sakte hain?

Kya Ghar me Aurat aur mard Aik Sath Jamat bana kar Namaz padh Sakte hain? 👫👬👨‍👩‍👦‍👦

Jawab: Padh Sakte hain ✔️

👉 Usme Imam Mard hoga, aur Mard ki Saff (Line) Aage lagegi aur Aurto ki saff (Line) uske baad se lagegi (Chahe 1 hi Aurat kyu na ho)

👉 Hadees: Hazrat Anas Bin Malik se riwayat hai ke Unki Nani Malika ne Rasool’Allah ﷺ ko Khana Taiyar Karke Khane ke liye Bulaya. Aap ﷺ ne Khane ke baad Farmaya ke Aao Tumhen Namaz Padha Dun.

Anas (Razi Allahu Anhu) ne Kaha ke Maine Apne Ghar se Ek Boriya Uthaya Jo Kasrat istemal se Kala ho Gaya tha. Maine Uspar Paani Chidka Phir Rasool’Allah ﷺ Namaz ke Liye (Use Boriye Par) Khade Hue aur Mai aur Ek Yateem (Ke Rasool’Allah ﷺ ke Ghulam Abu Zameerah ke Lakde Zameerah) Aap ke Piche Saff Band kar khade ho Gaye. aur Buddhi Aurat (Anas Razi Allahu Anhu ki Nani Malika) Hamare Piche Khadi Hui. Phir Rasool’Allah ﷺ ne Hamen Do Rakat Namaz Padhai aur Wapas Ghar Tashreef le Gaye.

📚 Sahih Bukhari: 380

Leave a Reply