Salaam Me Pehal Karne Wala Ghamand Se Paak …

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai ke –
“Salaam Me Pehal Karne Wala Ghamand Se Paak Hai”.
– (Mishkat Sharif, Jild 2, Page-684, Hadees-4434)

*Hiqmat: Yaad Rakhiye Ek Ghamandi Insan Hi Dusro Ko Apne Se Kamtar Samjhta Hai ,..
Isiliye Wo Logon Se Dua Salam Karne ke Bajaye Ummid Karta Hai Ke Log Uss Se Dua Salam Me Pehal Kare ,..

*Aur Afsos Ki Baat Hai ! Aaj Musalmano Me Chand Fikri Ikhtelaf Ki Buniyad Par
Dua Salam Na Karne Ki Talim Di Jaati Hai ,.. Goya Ummat Me Intehar Failaya Jaa Raha Hai ,…
Ke Salam Mat Karo Aur Naa Hi Salam Ka Jawab Do ,.. (Subhan’Allah)
Jabki Rasool’Allah ne tou Salam Ko Aam Karne Ki, Salam Me Pehal Karne Ki Talim Di Ummat Ko…
– – – Allah Hum Sabko Hidayat Dey ,..

# Ab Sawal ye Aata Hai Ke
Kya Saqda Dene Wala Aur Allah ki Raah me Shahid Hone Wala Ghamand se Paak nahi hota?
» Tou Yakinan Yaad Rakhiye Sadqa Khairat karna Aur Allah Ki Raah Me Shahid hona Bohot Hi Bada Martba Rakhta hai Allah Ke Nazdeek ,..
– Agar Iss Amal Me Ikhlaas ho Tou Wo Allah ke Nazdeek Qabile Qabul hai,..
– Aur Agar Inme Riya(Showing Off) Shamil Ho Jaye Tou Amal Bekar Hai,..
# Lekin Salam me Pehal Karne Wala Iss Liye Ghamand Se Paak hai
Kyunki Wo Samne Wale Farig Ko Apne Se Kamtar Nahi Samjhta ,..

– Tou Beharhaal Hum Tamam Ko Chahiye Ke –
*Jo bhi Amal Karey Iss Niyat se kare ke Allah ke Nazdeeq Qabil-e-Kabool ho..
*Ikhlaas ke Sath Aur Riya-Wa-Ghamand Se Apni Niyato ko Paak Rakhtey hue Kare ..
Beshaq Zaza Aur Saza Dene Wala Allah Hum Tamam Ki Niyato Se Bakhabar hai,..

♥ In sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,…

Leave a Reply