Qarz ke Ada Kiye Bagair Momin Jannat me Dakhil Na hoga

✦ Hadees: Qarz ke Ada Kiye Bagair Momin Jannat me Dakhil Na hoga

♥ Mafhoom-e-Hadees: Muhammad bin jahsh (R.A.) farmate hain ki hum Rasool’Allah ﷺ ke paas baithey hue they, Aap ne apna Sir Aasman ki taraf uthaya, phir haath apni peshani par rakha, phir farmaya: “Subhan Allah! kitni sakhti nazil hui hai? ” hum log khamosh rahe aur dar gaye, jab dusra din huwa to maine Aap se poocha: “Allah ke Rasool! woh kya sakhti hai jo nazil hui ?”

Aap ﷺ ne farmaya: “Qasam hai is Zaat ki, jis ke haath me meri jaan hai! agar ek shakhs Allah ki raah me qatl kiya jaye phir zindah kiya jaye, phir qatl kiya jaye phir zindah kiya jaye, phir qatal kiya jaye aur is par Qarz ho to woh jannat me dakhil nahi hoga jab tak iska qarz ada na ho jaye.”

📕 Sunan Nasa’i: jild 4, kitab Al-Buyie 44, hadith no. 4691-Grade sahih


Wazahat: Agar qarzdar, qarz naa ada karne par apni razamandi ka izhar kar de, to bhi woh maghfirat ka mustahik hoga. Nabi kareem ﷺ ne farmaya: “jo koi logon ka maal karz ke taur par ada karne ki niyat se leta hai to Allah Ta’ala bhi iski taraf se ada karega aur jo koi nahi dene ke liye le toh Allah Ta’ala isko tabah kar dega” (Bukhari: 2387).

Isliye qarz lete waqt momin ki niyat ye honi chahiye ki uss qarz ki adayegi jald se jald ya muqarrara waqt par ho jaye.

♥ In’sha Allah ul Azeez !!!

Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufik Dey ,. Ameen.

Leave a Reply