Kya Sayed Afzal hai aur Unpar Zakaat Haram hai ?

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

✦ Sawal: Islam me Yakinan Khandani aur Rangat ke Aitbaar se Unch-Nich Ka Mumla Nahi Hai. tou fir kuch log aisa kyu tasawwur karte hai ke Sayed Unche hai aur baaki nichey. aur Kya Sayed par Zakaat Haram hai ?

Aayiye Iski Hakikat Jan’ne ki koshish karte hai:

Sabse pahli baat yeh hai ke “Sayed Afzal hai’ aisa logon ne kuch cheezo ko manmane dhang se bana liya, jabki Shariyat ne is cheez ki Ijajat nahi di. aur Hadees me Jo Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya wo ye hai ke:

❝ Mere khandan par Zakaat haraam hai.

– (Sahih Muslim 1072 – The Book of Zakah)

Tou Aap (ﷺ) ne kabhi Sayyed nahi kaha apne Aap ko,  Hadees me Jo wajeh Alfaz hai ke “Mera Khandan” aur yeh baat hum sab Jantey hai ke “Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Quraish they, Banu Hashim Qabile se..”

Ab Yaha Mera Khandan boley tou Humare paas Sayyed! (Subhan’Allah),  Jabki ye Tasawwur kar liya gaya , lekin hakikat me aisa kuch bhi nahi hai.

Aur Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne jaha bhi Hadees me bayan kiya aur kaha ke “Mere Khandan par zakat Haraam hai” ye nahi kaha ke “Sayed par Zakaat haram hai.“

Aur tajjub ki baat yeh hai ke khud ko Rasool’Allah ke Khandan se bataney wale saare log Barre-Sageer (Hindustan, Pakisthan aur Bangladesh) me hi milenge aapko, Saudi Arab me ek bhi nahi milega dekhna, waha Sayed ka Dawedar koi hai hi nahi. (MashaAllah)

Hume bhi bada tajjub hua ke ‘purey Sayed yaha kaise Shift ho gaye ?.. waha kaise koi bhi nahi bacha!’

Dekhiye thoda gour bhi karne ki cheez hai yeh ke ‘purey Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke khandan le log Saudi Arab chorkar Hindustan, Pakistan me hi aakar bas gaye aur Sayed yahi hai baaki kahi bhi nahi.’

✦ Aur Kya purey Hidustan-Pakistan ke Musalman Arab se aaye hai ?

Wo bhi nahi! kyunki yaha jab Sahaba, Tabeyeen inke jarye Islam aaya, Deegar fir log jab Islam lekar aaye tou logon ne Islam kabool kiya aur Islam kabul karne ke baad Unko log Itney acche lage ke apna Surname bhi laga liya. Jaise kisi ko Abu Baqar Siddhiq (R.A) acche lage tou “Siddhiqi” laga liya, Kisi ko Umar Farukh (R.A)  acche lagey tou “Farukhi” laga liya, Iss tarha se naamo ka silsila hindustan me aaya.

Ab kuch log kahenge ke mai tou Hakikat me Sidhiqqi boley tou Abu Bakar Siddhik tak Apna Shijra bata sakta hu, tou aise bohot kum log hai. sab nahi bata sakte. Jabki baakiyon ne sirf naam le liya. tou usi tarha Khudke naam ke aage Sayed lagane ka riwaj shuru hua, jinhe Alqabi Sayed kaha jata hai.

✦ Is Galatfehmi ka Nuqsaan:

iska Nuksan ye hua ke Sayed surname wale jitney bhi bechare musalman Zakat ke Mustahik hai unhe Zakat nahi milti, Unhe unka haq nahi milta. Allah Reham karey.

Tou beharhaal Sayed koi unche hai aur baaki nichey aisa kisi bhi riwayat me nahi aata. yaad rakhiye ke Sayed hone se koi Afzal nahi aur koi dusra koi mafzul nahi hota.

✦ Sayed Ka Matlab:

Sayed ka matlab hota hai Aaqa ya Bada ya Master jisko bolenge hum aam Zabaan me. Ha lekin agar koi Shijra sabit kare Rasool’Allah (ﷺ) ke Khandan se Apna tou ha hum taslim karenge ke Allah ke Rasool (ﷺ) ke khandan yani Ahle Bayt se hai aur Unka Ikraam bhi karna hum par wajib hai.

lekin fir bhi uski koi Fazilat nahi, yani Shariyat ke kisi bhi khawanin me koi kami ya jyadati karne ka unhe koi ikhteyar nahi.

Kyunki Allah ke Nazdik “Taqwa” asal hai, Taqwa buniyaad hai, Allah Ta’ala Qurane Kareem me farmata hai:

❝ Beshaq Allah ke nazdik Ikram wala wohi hai jo Allah ka Darr(Taqwa) rakhta ho

– (Surah Huzrat 49:13)

Tou jiske paas uncha Nasabnaba hai bhi aur agar Taqwa hai tou durust hai aur nahi hai tou fir Abu Lehab bhi Rasool’Allah(ﷺ) ke khandan se tha lekin koi fayda na diya usko, Abu Talib Rasool’Allah (ﷺ) Ke Khandan se they, Aapne madad bhi ki thi lekin koi fayda na hua aur Hamza (Razi’Aallahu Anhu) Imaan la liye! to unko fayda hua Islam ka. tou yeh asal cheez hai ke koun Imanwala hai aur koun nahi.

Yaad rahe islam me kisi bhi tarha ka unch nich nahi.

♥ In sha Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah hume haq sunne samjhne aur uspey amal ki taufiq dey,
# Hum tamam ko muttaqi aur parhezgaar banaye,
# Jab tak hume zinda rakhey islam aur imaan par zinda rakhye,
# Khatma humara imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

2 Comments

Leave a Reply