Aulaad ki Tarbiyat – Part 10

Aulaad ki Tarbiyat – Part 10

L). Tarbiyat ka 12th marhala:

Dost aur Ahbab ka kirdar Aulad ki Tarbiyat me.

Aulaad ki Tarbiyat me dost aur ahbab ka bhi aham role hai warna acche acche bacche bigad jate hain. Yaha walid ka ye kaam hai ki Humare bacche aur bachiyan kaha jate hain aur kaun kaun unka dost hai, unke Akhlaq kya hai unke muamlat kya hai wo kiske bacche hain unki kamayi kaisi hai ispar pura nazar rakhe aur dhyan dene ki zarurat hai.

Aaj kal dekha jata hai ke, baaz martaba baccho ko Maa Baap toka karte hain ke wo falah bache ke sath raho wo bohot Ameer hai. Subhan’Allah! aap Ameeri ko tarjeeh de rahe hai? jabki aap ko ye kehna chahiye ke beta Deendaro ke sath raho wo deendar hai us’se dosti karo aur bure baccho se door raho jo gandi gandi batein karte hain.

Acche dosto ka intehkhab kare:

Aajkal Hum dekhte hai maaldar koun hai taaki humara baccha high society me uthey aur baithe ye sab falthu batein hain yaad rakhiye , jabki deendar baccho me rakhiye! Unke Akhlaq dekhiye kaise hain jin baccho me humara baccha aur bacchi reh rahi hain, unpar nazar rakhiye ke aise bacho me rahe jo ba-akhlaq ho ba-adab ho baqeerdar ho aur Achche khandano se taluk rakhte ho yaani nek aur deendar khandan. Warna Shaitaan Bacho ko bahut asani se uchak leta hai is muqam par.

Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmate hai ek hadees ke andar ke “Aadmi apne doston ke deen par hota hai.” Matlab aadmi wo kaam karta hai Jo uske dost aur saheliyan karti hain tou aadmi apne doston ke deen par hota hai, lehaza tum me se har fard ko ye khayal karna chahiye ke woh kis se dosti kar raha hai.

Agar mai bada ho chuka tou mai tou samaj sakta hun ke mai fikr karu lekin jab bacche chote hain tou ye cheez samajte nahi hai , lihaja waledain fikr kare ke unki Aulad ka jo dost hai accha rahe aur apne aulad ki acche doston se dosti karwaiye.

Ek arbi shayar hai unhone ek sher likha aur kaha ke “Aadmi ke akhlaq ke bare me janna hai tou usse mat pucho balke ye dekho uske dosto ka Akhlaq kya hai jaise dosto ka Akhlaq hai wasse uske honge .

English me bhi ek misal hai “Birds of Same Feather Fly Together.” Ek jaise qism ke pareende ek sath hi urte hai.

Gande log ek sath rehte hai acche log bhi ek sath rahte hai, chor uchakke ek sath rahte hai har qism ka ek tabqa hota hai wo ek sath rehna pasand karta hai , tou doston se humari aur aapki shanaqt hai, lihaja achche logo se dosti karwayiye apne baccho ki.

To be continued.

Leave a Reply