Allah se Magfirat aur Aafyiat mangne ki Dua

✦ Mafhum-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
“Allah Subhanahu Ta’ala se Magfirat aur Aafyiat manga karo, kyuki Yaqeen ke baad Aafiyat se behtar koi cheez kisi ko nahi di gayee.”

📕 Jamia Tirmidhi, Jild 2, 1482-Sahih


✦ Mafhum-e-Hadees: Ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Subah aur Shaam ko ye Dua maangna kabhi nahi chorha, yaani rozana Subah aur Shaam mein isko padha karte they:

❝Allahumma inni Asalukal-Afwa Wa Al-Aafiyah fid-dunya wa Al-Aakhirah.❞

(Ya Allah main tujhse Duniya aur Aakhirat mein magfirat aur aafiyat maangta hun.)

📕 Sunan Ibn Maja, Jild 3, 752-Sahih

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

Leave a Reply