About Us

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Barakatuhu
Allah ke Naam se shuru jo tamam jahano ko banane wala aur usey palney wala hai!
aur Duroodo Salaam ho uskey aakhri Nabi Rasool’Allah (ﷺ) par.

Hamare peshe Nazar Nabi-e-Kareem Sarvare-do-Aalam (ﷺ) ka yeh farman bhi hai, Jo Aapne Hajjatul wida ke mouke par irshad farmaya:

❝Aye logon! Shayad aayinda saal ya fir kabhi tumse yaha mulaqat na ho sake, jo tumse garib hai unhe wohi khilao jo tum khate ho, wohi pehnao jo tum pehnte ho, ke sab ko Allah hi ki taraf loutna hai, aur wo tumse tumhare amaal ka hisab lega.

Jo moujud hai wo unhe bata do jo moujud nahi, ke tum sab ek Aadam ki Aulaad ho aur tum me sabse behtar wo hai jise Allah ka khouf hai.

Mai jo kuch kahu usey gour se suno! “Ayyam-e-Jahiliyat ke makhtuleen ka Qasaas aur Diyat dono khatm ki jati hai.

Yaad rahe! har Musalman dusre Muslman ka bhai hai aur tamaam Musalman aapas me bhai bhai hai.

Musalmano me Rang, Nasl aur Kabiley ka koi imteyaj nahi. Koi Musalman kisi dusre ke maal par Najayaz tassaruf nahi karega, warna yeh ek dusre par Zulm ho jayega.

Logon gour se suno! Jo cheez Mai tum’me chorey ja raha hu, wo Nihayat wajeh aur Roshan hai, aur wo hai Allah ki Kitab aur uskey Rasool ki Sunnat, agar isey mazbuti se pakdey raho tou kabhi thokar na khaoge.❞

📕 Khutba Hajjatul Wida (Mu’atta Imam Malik , Muntakhb Aahadees Safa.59)

Fir Aapne takmil-e-deen ke hawale se is aayat ki tilawat farmayi:

❝ Aaj ke din Humne tumhare liye Deen ko mukammil kar liya aur apni Neymate humne tum par tamam kar di. aur tumhare liye Deen-e-Islam ko pasand kar liya.❞

📕 Al-Quran; Surah Maida 5:3

Beshaq ye wajeh hai ke Deen-e-Islam Allah Rabbul Izzat ne Nabi-e-Kareem (Salallaho Alaihi Wasallam) ke Dour me hi Mukammil kar diya, yaani ab is Deen me koi naye akide ijad hone ki koi Gunjaish hi nahi.

lekin fir bhi Aaj dekha jata hai Gairmuslimo aur khud Musalmano ko bhi Deen-e-Islam ke talluk se Beshumar galatfehmiya hai, iski Asal wajah yahi hai ke “Ilm ki Kami

Jabki Ilm Hasil karna kitna jaruri hai Iske talluk se Nabi-e-Kareen (Sallallahu Alaihay Wasallam) ka Irshad-e-Mubarak hai:

❝ Talib Ul Ilm Farizatn Ala Kulli Muslimin” 
(Ilm Ka Haasil Karna Tamaam Musalman Mard Aur Aurat Par Farz Hai)

📕 Mishkat P:24

Ek aur riwayat me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmtey hai:

❝  Logo! Ilm ke wapas liye janey aur utha liye janey se pehle Ilm hasil kar lo.

📕 Musnade Ahmad

❝ Behtreen Sadqa ye hai ke koi Musalmaan Ilm seekhe, phir apne Musalmaan bhaai ko Sikhaye.

📕 Ibne Majah: 243

Lihaja Hum ! Aa-Hazrat (ﷺ) ke Issi Irshad-e-Mubarak par Amal karte hue is Website ke Waseele se Ummat-e-Muslima aur bilkhusus apne Gairmuslim hazraat tak ki khidmat me Dawat aur Islah ki Adanasi koshish kar rahey hai.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
– Allah RabbuL Izzat hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufik dey,
– Humey Kitabo Sunnat ka muttabey banaye,
– ‘Amr Bil Maroof wa Nahi Anil Munkar’ par amal ki taufik ata farmaye,
– Jab tak hume zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey,
– Khatma humara imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

~ Dua Ki Darkhwast (Our Contributors)
Everlasting Memory of Sana Shaikh.
Mohammad Salim (Kamothe, Navi Mumbai – India), • Adv. Faiz Sayed (Aurangabad – India), • Mujahid Shaikh (Osmanabad – India), • Tahir Husain (India), • Mohammed Rafique (Saudi Arabia), • Saleha Rubina Shaikh (India), • Jasmin Khan (India), • Imran Sayed (United Arab Emirates), • Zoya Khan (India), • MK Ali Shoaib (Saudi Arabia), • Anurag Brother (India), • Asma Parveen (India).

» For Facebook Users: Dear Brother & Sisters :
Plz Like & Share Our Facebook Fan Page to your All Friends and Invite them. Don’t miss a single one of our update about Islamic Hidayat Post,..
Jazak’Allahu Khairan Kaseera !!!